be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue
manzilen bhi kyun na hon phir fasla oDhe hue
is qadar KHilqat magar hai maut ko fursat bahut
har bashar hai aaj KHud apni qaza oDhe hue
un ke baatin mein mila shaitan hi masnad-nashin
jo ba-zahir the bahut nam-e-KHuda oDhe hue
kya kare koi kisi se pursish-e-ahwal bhi
aaj sab hain apni apni karbala oDhe hue
kya KHabar kis moD par bikhre mata-e-ehtiyat
pattharon ke shahr mein hun aaina oDhe hue
sab dilase us ke jhuTe us ke sab wade fareb
kab tak aaKHir hum rahen sabr-o-raza oDhe hue
kyun tazabzub mein na hon is daur ke ahl-e-nazar
gumrahi hai aagahi ka falsafa oDhe hue
ungliyan majruh ho jaengi rahna dur dur
KHar bhi hain in dinon gul ki rida oDhe hue
Dhaal us ki ban gai hai sab balaon ke KHilaf
ghar se jo nikla buzurgon ki dua oDhe hue
baKHshishon se jis ki KHas o aam sab the faiz-yab
hum bhi the us bazm mein lekin ana oDhe hue
fasl-e-gul aai to virane bhi mahke har taraf
aaj KHud KHushbu ko thi baad-e-saba oDhe hue
ek zamin hi tang kya thi us se jab bichhDe 'zafar'
aasman bhi tha ghazab-parwar ghaTa oDhe hue
Ghazal
Be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue
Zafar Moradabadi