اردو हिंदी
Be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua | Shaahi Shayari
be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua

Ghazal

Be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua

Shakir Kalkattvi

;

be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua
kuchh der shoabada sa sar-e-tur to hua

achchha kiya ki main ne kiya tark-e-arzu
be-sabr dil ko sabr ka maqdur to hua

go us mein ab nahin hain laDakpan ki shoKHiyan
lekin shabab aane se maghrur to hua

ab aur iltifat se maqsad hai kya tera
bas ai nigah-e-mast ki main chur to hua

tum ne agar suna nahin ye aur baat hai
afsana mere ishq ka mashhur to hua

sunta hun husn mail-e-mehr-o-wafa hai ab
ai iKHtiyar-e-ishq wo majbur to hua

'shakir' ko hai nasib se kis baat ka gila
duniya-e-shairi mein wo mashhur to hua