be-niyazana har ek rah se guzra bhi karo
shauq-e-nazzara jo Thahrae to Thahra bhi karo
itne shaista-e-adab-e-mohabbat na bano
shikwa aata hai agar dil mein to shikwa bhi karo
sina-e-ishq tamannaon ka madfan to nahin
shauq-e-didar agar hai taqaza bhi karo
wo nazar aaj bhi kam-mani o begana nahin
us ko samjha bhi karo us pe bharosa bhi karo

Ghazal
Be-niyazana har ek rah se guzra bhi karo
Athar Nafees