اردو हिंदी
Be-niyaz naghma-e-duniya hun main | Shaahi Shayari
be-niyaz naghma-e-duniya hun main

Ghazal

Be-niyaz naghma-e-duniya hun main

Waliullah wali

;

be-niyaz naghma-e-duniya hun main
apne dil ki dhaDkanen sunta hun main

wadi-e-qirtas mein bahta hun main
aabshaar-e-fikr ka dariya hun main

dida-e-be-KHwab anjum ki tarah
rut koi ho jagta rahta hun main

aaine ke ru-ba-ru hairan hun
jaane kis ka gum-shuda chehra hun main

sar-bulandi kyun na ho mujh ko ata
apne sar man ki dua rakhta hun main

jaane kyun KHud bhi nigahon ki tarah
un ki rahon mein bichha jata hun main

wo mujhe bahla rahe hain yun 'wali'
jaise koi na-samajh bachcha hun main