be-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq
be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq
kam-nihad o be-sabaat insan mein
jaane kya kya jama kar deta hai ishq
kaun jaane is ki ulTi mantiqen
TuTe hathon mein sipar deta hai ishq
pahle kar deta hai sab aalam siyah
aur phir apni KHabar deta hai ishq
jaan dena khelte hanste hue
qatl hone ka hunar deta hai ishq
kaT girin aur phir bhi qaem hain safen
kitne bazu kitne sar deta hai ishq
sar-barahna hain ana-gumbad jo the
aandhiyon se sar ko bhar deta hai ishq
dard-mandi par jo qaem hain unhen
noor-afza chashm-e-tar deta hai ishq
ek bojhal raat kaT jaane ke baad
ek lamhe ko sahar deta hai ishq
ye samajh tum ko bhi hogi sahibo
dil ko kyun shoalon pe dhar deta hai ishq
chal nikalne ka irada bandhiye
dekhiye samt-e-safar deta hai ishq
dhum hai jis ki KHayam-e-hur mein
aabru ka wo guhar deta hai ishq
Ghazal
Be-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq
Abul Hasanat Haqqi