be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai
dil ko zaKHmon se pyar sa kyun hai
wo KHafa hain ki hum gharibon ko
gham pe kuchh iKHtiyar sa kyun hai
meri aankhon ke KHwab to gham hain
wo magar be-qarar sa kyun hai
aks us mein tha kis ke chehre ka
aaina sangsar sa kyun hai
aahaTen pas aa ke dur huin
hum ko phir intizar sa kyun hai
kya koi sandali mahak si uDi
dil mera pur-KHumar sa kyun hai
zindagi talKH hai bahut 'anjum'
phir bhi zalim se pyar sa kyun hai
Ghazal
Be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai
Ghayas Anjum