be-nawai ne meri had se guzar jaane diya
wo jo mujh se chahta tha main ne kar jaane diya
phir kureda aur ji-bhar kar namak-pashi bhi ki
pahle us ne mere dil ke zaKHm bhar jaane diya
rok kar rasta bata dete ki KHud ko jaan le
tum ne kaise us ko KHud se be-KHabar jaane diya
ab KHata-kari se koi rokne wala nahin
ruh ki zinda sada ko main ne mar jaane diya
jaan ki bazi laga kar bhi bacha late use
tum ne gahre paniyon mein kyun utar jaane diya
kaisi aaraish hui be-shana-o-be-aina
gesuon ko us ne bikhra kar sanwar jaane diya
faisla Talta raha shunawai ki taKHir se
KHud adalat ne gawahon ko mukar jaane diya
wo to aaya tha jala kar apni sari kashtiyan
tum ne kis dil se use ba-chashm-e-tar jaane diya
Ghazal
Be-nawai ne meri had se guzar jaane diya
Arman Najmi