be-nam dayaron se hum log bhi ho aae
kuchh dard the chun lae kuchh ashk the ro aae
kuchh pas na tha apne bas aas liye ghume
ek umr ki punji thi so us ko bhi kho aae
tauhin-e-ana bhi ki tahsin-e-riya bhi ki
ye bojh bhi Dhona tha ye bojh bhi Dho aae
ek kar-e-numu barson karte rahe bin soche
hum bij mohabbat ke sahraon mein bo aae
pahchan ka har manzar anjaan hua aaKHir
lagta hai kai sadiyan ek ghaar mein so aae

Ghazal
Be-nam dayaron se hum log bhi ho aae
Shafiq Saleemi