be-nam dayaron ka safar kaisa laga hai
ab lauT ke aae ho to ghar kaisa laga hai
kaisa tha wahan garm do-pahron ka jhulasna
barsat-ruton ka ye nagar kaisa laga hai
din mein bhi dahal jata hun aabaad gharon se
saya sa mere sath ye Dar kaisa laga hai
honTon pe larazti hui KHamosh sada ka
aankhon ke darichon se guzar kaisa laga hai
aangan mein lagaya tha shajar chao se main ne
phalne pe jo aaya to samar kaisa laga hai

Ghazal
Be-nam dayaron ka safar kaisa laga hai
Shafiq Saleemi