be-murawwat hain to wapas hi uTha le shab-o-roz
mujh ko bhate nahin ye tere nirale shab-o-roz
ek ummid ka tara hai sar-e-baam abhi
us ki kirnon se hi hum ne hain ujale shab-o-roz
jo teri yaad ke sae mein guzare hum ne
hain wahi zist ke anmol hawale shab-o-roz
dasht se KHak uTha laya tha ajdad ki main
ghar mein rakkhe to hue chand ke haale shab-o-roz
dast-e-KHunin na kabhi waqt uThae tujh par
hukm lamhon pe chala Dhaal bana le shab-o-roz
apne din-raat se mumkin hai kahan koi farar
dasht-e-wahshat mein utar aur saja le shab-o-roz
Ghazal
Be-murawwat hain to wapas hi uTha le shab-o-roz
Zulfiqar Naqvi