اردو हिंदी
Be-misl-o-be-hisab ujalon ke baad bhi | Shaahi Shayari
be-misl-o-be-hisab ujalon ke baad bhi

Ghazal

Be-misl-o-be-hisab ujalon ke baad bhi

Waqar Khan

;

be-misl-o-be-hisab ujalon ke baad bhi
kuchh aur mang jaan se pyaron ke baad bhi

kya soch raushni se ziyaada hai tez-rau
hum band rah sake na fasilon ke baad bhi

taswir se ziyaada tasawwur ki umr hai
kuchh KHwab zinda rahte hain aankhon ke baad bhi

phir KHauf se be-fikr hi karna paDa use
badli na meri qaum azabon ke baad bhi

chaho agar aman to hazir hai mera dil
mazbut hai ye qila daraDon ke baad bhi

aqaliyyaton ke jaise KHuda ki tarah hain hum
sabit na ho sake jo hawalon ke baad bhi

qaidi mohabbaton pe yaqin kis tarah rakhen
milti hai kab rihai sazaon ke baad bhi