be-mehri-e-qaza ke satae hue hain hum
ilzam zindagi ka uThae hue hain hum
husn-e-suluk-e-yar ka eajaz kya kahen
sau dagh ek dil pe uThae hue hain hum
ab kis se le qisas zamane mein munsifi
apne lahu mein aap nahae hue hain hum
patthar ke ek sanam ko ba-sad naz-o-tumturaq
shishe ke pairahan mein chhupae hue hain hum
jhukti hain kaj-kulahon ki peshaniyan jahan
us aashiyan mein sar ko jhukae hue hain hum
hairan hain wo ki aise hawasnak daur mein
tahzib-e-ishq ab bhi nibhae hue hain hum
ashkon ke ghup gharon mein tha aaseb ka KHatar
aankhon ke dip yun na jalae hue hain
is TuTte badan mein wo Thahraw hai sahar
janmon se bar-e-hijr uThae hue hain hum
hasti ke karKHana-e-ahan mein ai 'sahar'
zanjir-e-jaan ko gham se lagae hue hain hum

Ghazal
Be-mehri-e-qaza ke satae hue hain hum
Shamshad Shahar