be-mehr kahte ho use jo bewafa nahin
sach hai ki bewafa hun main tum bewafa nahin
uqda jo dil mein hai mere hone ka wa nahin
jab tak ki aap kholte zulf-e-dota nahin
ayyari dekhna jo gale milne ko kaho
kahta hai main to tum se hua kuchh KHafa nahin
ashkon ke sath qatra-e-KHun tha nikal gaya
sine mein se to dil ko koi le gaya nahin
jalta hai sada-lauhi pe kya apni ji mera
dil le ke ab jo baat wo karta zara nahin
wo pur-KHatar hai wadi-e-ulfat ki rah mein
kahte hain KHizr hae koi rahnuma nahin
karta hun teri zulf se dil ka mubaadala
har-chand jaanta hun ye sauda bura nahin
kaise wo talKH-tar hain mere shor-e-ishq se
qismat se apna chahne mein bhi maza nahin
josh-e-junun mein sar pe uDaen kahan se KHak
dil kya gaya ghubar hi ji mein raha nahin
dekhun to le hai jaan malak-ul-maut kis tarah
tum waqt-e-marg pas se uThna zara nahin
'taskin' ne nam le ke tera waqt-e-marg aah
kya jaane kya kaha tha kisi ne suna nahin
Ghazal
Be-mehr kahte ho use jo bewafa nahin
Taskeen Dehlavi