be-makan mere KHwab hone lage
ratjage bhi azab hone lage
husn ki mahfilon ka wazn baDha
jab se hum baryab hone lage
hai ajab lams un ke hathon ka
sang-reze gulab hone lage
ab pighalne lage hain patthar bhi
rabte kaamyab hone lage
mera sach bolna qayamat tha
kaise kaise itab hone lage
zikr tha un ki bewafai ka
aap kyun aab aab hone lage
pur-sukun hijr saaten dekhun
wasl lamhe azab hone lage
hum bhi kahne lage hain raat ko raat
hum bhi goya KHarab hone lage
kuchh zaban se nikal gaya tha yunhi
kyun KHafa aan janab hone lage
ai 'zaki' mujh ko mil gai mearaj
mere sher intiKHab hone lage
Ghazal
Be-makan mere KHwab hone lage
Zaki Tariq