اردو हिंदी
Be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi | Shaahi Shayari
be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi

Ghazal

Be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi

Habib Tanvir

;

be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi
zindagi be-lutf hai na-puKHta hain afkar abhi

puchhte rahte hain ghairon se abhi tak mera haal
aap tak pahunche nahin shayad mere ashaar abhi

zindagi guzri abhi is aag ke girdab mein
dil se kyun jaane lagi hirs-lab-o-ruKHsar abhi

han ye sach hai sar-ba-sar khoe gae hain aql-o-hosh
dil mein dhaDkan hai abhi dil to hai KHud-muKHtar abhi

kyun na kar lun aur abhi sair-e-bahaar-e-lala-zar
main nahin mahsus karta hun nahif-o-zar abhi