be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha 
aankhen nahin rahin ki tamasha nahin raha 
duniya ko ras aa gain aatish-parastiyan 
pahle dimagh-e-lala-o-gul tha nahin raha 
fursat kahan ki soch ke kuchh gungunaiye 
koi kahin halak-e-tamanna nahin raha 
unchi imaraton ne to wahshat KHarid li 
kuchh bach gai to gosha-e-sahra nahin raha 
dil mil gaya to wo utar aaya zamin par 
aahaT mili qadam ki to rasta nahin raha 
girdab chiKHta hai ki dariya udas hai 
dariya ye kah raha hai kinara nahin raha 
miTTi se aag aag se gul gul se aaftab 
tera KHayal shahpar-e-tanha nahin raha 
baatil ye e'tiraaz ki tujh se lipaT gaya 
mujh ko nashe mein hosh kisi ka nahin raha 
ek bar yun hi dekh liya tha KHiram-e-naz 
phir lab pe nam sarw o saman ka nahin raha
        Ghazal
Be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha
Syed Amin Ashraf

