be-laus mohabbat ka sila DhunDh raha hun
nadan hun ye is shahr mein kya DhunDh raha hun
ek moD pe TuTe hue khanDar se makan mein
guzre hue lamhon ka pata DhunDh raha hun
muddat se ye KHanjar mere sine mein hai aur main
riste hue zaKHmon ki dawa DhunDh raha hun
diwana jise sang-tarashi ka junun hai
kahta hai ki patthar mein KHuda DhunDh raha hun
munsif tere insaf se waqif hun tabhi to
na-karda gunahon ki saza DhunDh raha hun
ye sham aur us par teri yaadon ki halawat
ek jam mein do shai ka nasha DhunDh raha hun
Ghazal
Be-laus mohabbat ka sila DhunDh raha hun
Nafas Ambalvi