اردو हिंदी
Be-lag hain hum humko rukawaT nahin aati | Shaahi Shayari
be-lag hain hum humko rukawaT nahin aati

Ghazal

Be-lag hain hum humko rukawaT nahin aati

Mushafi Ghulam Hamdani

;

be-lag hain hum hum ko rukawaT nahin aati
kya baat banawen ki banawaT nahin aati

hai dhyan laga dar ki taraf par kai din se
kanon mein tere panw ki aahaT nahin aati

dandan-e-hawas se use masla hai kisu ne
bose se to lab par ye nilahaT nahin aati

kajal ne teri aankhon mein jo lutf diya hai
har ek ke hisse ye ghulawaT nahin aati

kya jama-e-chaspan ka tere wasf karun main
taqrir mein kuchh us ki sajawaT nahin aati

hai rang siyahi liye jun us ki hina ka
hathon pe har ek ke ye udahaT nahin aati

ai 'mushafi' baiThe hain hum us bazm mein KHamosh
kya baat banawen ki banawaT nahin aati