اردو हिंदी
Be-KHudi pe tha fani kuchh na iKHtiyar apna | Shaahi Shayari
be-KHudi pe tha fani kuchh na iKHtiyar apna

Ghazal

Be-KHudi pe tha fani kuchh na iKHtiyar apna

Fani Badayuni

;

be-KHudi pe tha 'fani' kuchh na iKHtiyar apna
umr bhar kiya nahaq hum ne intizar apna

tab-e-zabt-e-gham ne bhi de diya jawab aaKHir
un ke dil se uThta hai aaj e'tibar apna

ishq zindagi Thahra lekin ab ye mushkil hai
zindagi se hota hai ahd ustuwar apna

shikwa barmala karte KHair ye to kya karte
han magar jo ban paDta shikwa ek bar apna

gham hi ji ka dushman tha gham se dur rahte the
gham hi rah gaya aaKHir ek gham-gusar apna

le gaya chaman ko bhi mausam-e-bahaar aa kar
ab qafas ka gosha hai hasil-e-bahaar apna

jhuT hi sahi wada kyun yaqin na kar lete
baat dil-fareb un ki dil umid-war apna

inqilab-e-alam mein warna der hi kya thi
un ke aastan tak tha KHair se ghubar apna

dil hai muztarib 'fani' aankh mahw-e-hairat hai
dil ne de diya shayad aankh ko qarar apna