be-KHudi mein hai na wo pi kar sambhal jaane mein hai
lutf pa-e-yar par jo laghzishen khane mein hai
tere wade teri yaaden tere naghme tere KHwab
husn se bharpur daulat mere kashane mein hai
saghar-o-mina mein lahraati hai har mauj-e-sharab
ek jawani ka talatum aaj maiKHane mein hai
bazm-e-duniya mein hain husn-o-ishq yun jalwa-numa
raushni hai shama mein to soz parwane mein hai
mai ki ek ek bund se tufan-e-masti hai ayan
kis ki mai-bar ankhDiyon ka aks paimane mein hai
nur ki barish abhi hone de thoDi der aur
ek zara si der hi to raat Dhal jaane mein hai
lakh fitrat ne dikhai barq ki chashmak-zani
us mein wo shoKHi kahan jo tere sharmane mein hai
jaan bhi dil bhi jigar bhi aarzu-e-wasl bhi
un ke pesh apna sabhi kuchh aaj nazrane mein hai
mai ubhar kar jam mein angDaiyan lene lagi
kaisa madd-o-jazr saqi tere maiKHane mein hai
'charKH' main na-ashna hun hijr ke mahaul se
wasl ka rangin pahlu mere afsane mein hai
Ghazal
Be-KHudi mein hai na wo pi kar sambhal jaane mein hai
Charkh Chinioti