be-KHudi mein ajab maza dekha
sirr-e-maKHfi ko barmala dekha
aap hi gul hi aap hi bulbul
us ko har rang-ashna dekha
kahta hai aap samjhe bhi hai aap
us ko har shai mein KHud-numa dekha
surat-e-qais main hua majnun
shakl-e-laila mein KHushnuma dekha
aap hi ban ke isa aur murda
aap hi aap ko jila dekha
ho bar-afroKHta ba-surat-e-shama
shakl-e-parwana mein jala dekha
saghar-e-be-KHudi se ho sarshaar
hum ne har shai mein ab KHuda dekha
aalam-e-ishq mein kahen kya hum
jalwa-e-husn ja-ba-ja dekha
faiz-e-KHadim safi se ai 'asim'
us ko dekha jise na tha dekha
Ghazal
Be-KHudi mein ajab maza dekha
Shah Aasim