be-KHudi hai na hoshiyari hai
baada-KHwari si baada-KHwari hai
husn masruf-e-parda-dari hai
jaane ab kis nazar ki bari hai
tu ne dekhi to hogi ai naseh
wo mohabbat jo iKHtiyari hai
kam nahin shorish-e-nafas lekin
zindagi par jumud tari hai
gham-e-ulfat to dil se haar chuka
ab gham-e-zindagi ki bari hai
jis chaman mein kabhi na aae bahaar
us chaman ki KHizan bhi pyari hai
hae wo baada-kash ki jis ne 'shakil'
zindagi be piye guzari hai
Ghazal
Be-KHudi hai na hoshiyari hai
Shakeel Badayuni