be-KHudi hai hasraton ki bhiD chhaT jaane ke baad
aap hi gum ho gae hum rasta pane ke baad
main hun wo shoala bhaDakta hai jo bujh jaane ke baad
main hun aisa phul khilta hai jo murjhane ke baad
mil gae hum KHak mein parde ke uTh jaane ke baad
kuchh nazar aane se pahle kuchh nazar aane ke baad
kis tarah jalwe ko dekha dekh kar kya ho gaya
dekhne walon ko dekho jalwa dikhlane ke baad
maut hai jis ki saza ye zindagi hai wo gunah
in balaon se milega amn mar jaane ke baad
yun to parde hi mein rahti hai tumhein sab ki KHabar
kash dekho parde se bahar nikal aane ke baad
dekh kar mayus dil ko dekhta hun su-e-arsh
la-makan hi sujhta hai aise virane ke baad
chhoD kar tauf-e-haram hai kya pashemani mujhe
gardish-e-qismat mein apne aap aa jaane ke baad
un ke rauze se mujhe kyun le chali hai su-e-KHuld
ai ajal kyun kar jiyunga us ke chhuT jaane ke baad
kya ho idrak-e-tajalli se wo be-KHud kaamyab
jaan se jaana hon jis ko hosh mein aane ke baad
hae ye apni jawani aur ye baKHt-e-siyah
ye andheri koThari phir raat ho jaane ke baad
tu ne ai saqi kiya andaza-e-masti ghalat
yun hi deta ja mujhe paimana paimane ke baad
marg par aamada teri sard-mehri ne kiya
nind mujh ko aa gai ThanDi hawa khane ke baad
jazb-e-ulfat hi se paida hoti hai shakl-e-kashish
warna kyun jazb-e-nazar ho kuchh nazar aane ke baad
apne jalwe ke karishme ye mera zauq-e-nigah
tum zara dekho meri aankhon mein phir jaane ke baad
wo ata-e-awwal-e-saqi bhi 'raghib' KHub thi
hum ne lakhon KHum chaDhae ek paimane ke baad
Ghazal
Be-KHudi hai hasraton ki bhiD chhaT jaane ke baad
Raghib Badayuni