be-KHudi ab to sab pe chhai hai
be-tamasha ye KHud-numai hai
ab ye beDa KHuda hi par lagae
dil hai aur gham ki na-KHudai hai
tujh ko tab-e-nazar nahin waiz
is liye uzr-e-parsai hai
sabt hai aastan pe naqsh-e-sujud
husn-e-taqdir jabha-sai hai
mang 'mani' jaza-e-mahrumi
hashr hai sab ne dad pai hai

Ghazal
Be-KHudi ab to sab pe chhai hai
Mani Jayasi