be-KHuda hone ke Dar mein be-sabab rota raha
dil ke chauthe aasman par kaun shab rota raha
kya ajab aawaz thi sote shikari jag uThe
par wo ek ghayal parinda jaan-ba-lab rota raha
jate jate phir december ne kaha kuchh mang le
KHali aankhon se magar dil be-talab rota raha
main ne phir april ke hathon se dil ko chhu liya
aur dil sayon se lipTa sari shab rota raha
us ne mere nam suraj chand tare likh diya
mera dil miTTi pe rakh apne lab rota raha
Ghazal
Be-KHuda hone ke Dar mein be-sabab rota raha
Azra Parveen