اردو हिंदी
Be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne | Shaahi Shayari
be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

Ghazal

Be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

Manzar Lakhnavi

;

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne
subah se shama jala di tere saudai ne

hasb-e-mansha dil-e-pur-shauq ki baaton ka jawab
de diya sharm mein Dubi hui angDai ne

hu ka aalam hua us samt ko uDne lagi KHak
jis taraf ghaur se dekha tere saudai ne

qatl par mere bahae na kisi ne aansu
dad qatil ko di ek ek tamashai ne

puchhne wale bhari bazm mein qatil ko na puchh
nam tera hi agar le diya saudai ne

mangta hun dar-o-diwar se baaton ka jawab
aisa diwana kiya hai gham-e-tanhai ne

hijr ki raaton mein 'manzar' mere kaam aa aa ke
le liya mol charagh-e-shab-e-tanhai ne