be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin
zindagi ruTh gai lauT ke phir aai nahin
jo samajhna hi na chahe use samjhai nahin
jo bhi ek bar kahi baat wo dohrai nahin
husn sada hai tera main bhi bahut aam si hun
meri aankhon mein kisi nil ki gahrai nahin
mera hissa mujhe KHamoshi se de deta hai
dard ke aage hatheli kabhi phailai nahin
apne afkar liye pahlu-nashin ho ke raha
dil se darwesh ne duniya teri apnai nahin
shab ke tarik labon par hai kai sal ki chup
KHud se naraaz hai itni kabhi muskai nahin
bas phulon ki chura li hai hawaon ne magar
jo kali yaad ki teri hai wo murjhai nahin
aag ye donon taraf kyun na barabar si lage
hae wo ishq hi kya jis mein pazirai nahin
be-irada bhi koi kaam tattul na paDa
ba-irada thi mulaqat ki shab aai nahin
Ghazal
Be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin
Sidra Sahar Imran