اردو हिंदी
Be-KHabar sa tha magar sab ki KHabar rakhta tha | Shaahi Shayari
be-KHabar sa tha magar sab ki KHabar rakhta tha

Ghazal

Be-KHabar sa tha magar sab ki KHabar rakhta tha

Mohsin Bhopali

;

be-KHabar sa tha magar sab ki KHabar rakhta tha
chahe jaane ke sabhi aib-o-hunar rakhta tha

la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin
be-niyazana har ek dil mein guzar rakhta tha

us ki nafrat ka bhi meyar juda tha sab se
wo alag apna ek andaz-e-nazar rakhta tha

be-yaqini ki fazaon mein bhi tha hausla-mand
shab-paraston se bhi ummid-e-sahar rakhta tha

mashware karte hain jo ghar ko sajaane ke liye
un se kis tarah kahun main bhi to ghar rakhta tha

us ke har war ko sahta raha hans kar 'mohsin'
ye tassur na diya main bhi sipar rakhta tha