be-KHabar hote hoe bhi ba-KHabar lagte ho tum
dur rah kar bhi mujhe nazdik-tar lagte ho tum
kyun na aaun saj sanwar kar main tumhaare samne
KHush-ada lagte ho mujh ko KHush-nazar lagte ho tum
tum ne lams-e-mo'tabar se baKHsh di wo raushni
mujh ko meri aarzuon ki sahar lagte ho tum
jis ke sae mein aman milti hai meri zist ko
mujh ko jalti dhup mein aisa shajar lagte ho tum
kyun tumhaare sath chalne par na aamada ho dil
KHushbu-e-ehsas mere ham-safar lagte ho tum
'naz' tum par naz karti hai mohabbat ki qasam
zindagi bhar ki duaon ka asar lagte ho tum
Ghazal
Be-KHabar hote hoe bhi ba-KHabar lagte ho tum
Naz Butt