be-kasi mein asar yagana hai
dil bhi us ka nahin begana hai
gharaz aaina-dari-e-dil se
tera jalwa tujhe dikhana hai
misl-e-naqsh-e-qadam mein jab tain hun
aankhen hain aur ye aastana hai
yahi tar-e-nafas ki aamad-o-shud
jama-e-tan ka tana-bana hai
gale milna na go ki hath lage
lek manzur dil milana hai
nam anqa nishan tere ka
jun nagin dil mein aashiyana hai
dost dushman sabhi hue hain tere
kya burai ka ab zamana hai
dil-e-gum-gashta ko main DhunDun kahan
na kahin Thor ne Thikana hai
hai diwana ba-kar-e-KHud hoshyar
ye na samho 'asar' diwana hai
Ghazal
Be-kasi mein asar yagana hai
Meer Asar