be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai
ai dost mujhe gham ki zarurat si lage hai
rudad mohabbat ki kisi ko na sunao
kuchh log hain jin ko ye shikayat si lage hai
dam toDti qadron ko bachane ki uchhal-kud
fitrat ke usulon se baghawat si lage hai
duniya-e-tamasha to badalti hai kai rang
gah KHwab lage gah haqiqat si lage hai
ehsas ka dhoka hai ye jazbaat ka jadu
apnon ki adawat bhi mohabbat si lage hai
be-rabt KHayalon ke shagufon ki latafat
majbur gharibon ki zehanat si lage hai
'talib' ko sharafat pe baDa naz tha lekin
ab us ki sharafat bhi himaqat si lage hai
Ghazal
Be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai
Talib Chakwali