be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya 
hum ko watan se shah gharib-ul-watan kiya 
ghurbat ki sham ulfat-e-gesu mein dekhiye 
us dil ne hum ko aah gharib-ul-watan kya 
us par na paDti aankh na chhuTta kabhi watan 
bas tu ne ai nigah gharib-ul-watan kiya 
dushman na yun ho dost ne jis tarah se hamein 
ba-haalat-e-tabah gharib-ul-watan kiya 
ai 'mehr' hum ko charKH ne gardish se roz-o-shab 
manind-e-mehr-o-mah gharib-ul-watan kiya
        Ghazal
Be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya
Syed Agha Ali Mehr

