اردو हिंदी
Be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega | Shaahi Shayari
be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega

Ghazal

Be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega

Abdul Hamid Adam

;

be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega
aa kar mere qisse mein tera nam chalega

Thahra hai mere zehn mein jo qafila-e-gul
thoDa sa to le kar yahan aaram chalega

zuhhad ki mala nahin jo raat ko nikle
rindon ka piyala hai sar-e-sham chalega

tu raqs kare gird mere aur main gaun
ye khel bhi ai gardish-e-ayyam chalega

chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein
ek roz mere sath sar-e-am chalega