be-intiha hona hai to is KHak ke ho jao
imkan ki masafat karo aflak ke ho jao
sab qisson ko chhoDo dil-e-sad-chaak ke ho jao
is daur-e-junun-KHez mein idrak ke ho jao
KHushiyon se kahan rabt hai hum ko bhi tumhein bhi
aa jao isi lamha-e-namnak ke ho jao
is bagh mein shamshir-e-hawa se na bachoge
KHush rang ho jao kisi poshak ke ho jao
be-zaeqa hone se yahi zaiqa achchha
ashjar se utro KHas-o-KHashak ke ho jao
sar-poshi ka fan hathon ko sikhlao wagarna
be-ankh ke be-kan ke be-nak ke ho jao
'shahpar' ki tarah KHak se uDte hi phiroge
banna hai to bas jao kisi chaak ke ho jao
Ghazal
Be-intiha hona hai to is KHak ke ho jao
Shehpar Rasool