be-hisi par meri wo KHush tha ki patthar hi to hai
main bhi chup tha ki chalo sine mein KHanjar hi to hai
dho ke tu mera lahu apne hunar ko na chhupa
ki ye surKHi teri shamshir ka jauhar hi to hai
rah nikli to koi toD ke chaTTanon ko
samne tera o tarik samundar hi to hai
sath hun main bhi ki dil ki yahi marzi hai magar
dasht bhi be-dar-o-diwar ka ek ghar hi to hai
thak ke KHwabon ki guzargah se uTh aaya main 'zeb'
kaun dekhe wahi dekha hua manzar hi to hai
Ghazal
Be-hisi par meri wo KHush tha ki patthar hi to hai
Zeb Ghauri