be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye
dhup se ab barf par aab-e-rawan likh dijiye
katib-e-taqdir Thahre aap ko rokega kaun
jo bhi ankur sar uThae raegan likh dijiye
aap ki aankhon mein chubh jaegi warna raushni
hum charaghon ke muqaddar mein dhuan likh dijiye
mushtahar ho jaunga firqa-parasti ke liye
meri peshani pe aap urdu zaban likh dijiye
hum gharibon se riayat ki zarurat hi nahin
subhen dozaKH hain to shamon ko dhuan likh dijiye
aap to shayad qasam hi kha chuke taKHrib ki
har jagah dharti pe ab aatish-fishan likh dijiye
Ghazal
Be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye
Zafar Sahbai