be-hisi ki bhiD mein wo kho gaya
KHauf tha jis ka wahi kal ho gaya
har qadam par panw kyun zaKHmi hue
rah-e-haq mein kaun kanTe bo gaya
raat-bhar to chand jaga mere sath
phir sahar ke waqt thak kar so gaya
man ne bas pani ubaala raat-bhar
rote rote us ka bachcha so gaya
wo kahin ka bhi na 'mazhar' ho saka
hath ko mujh se chhuDa kar jo gaya
Ghazal
Be-hisi ki bhiD mein wo kho gaya
Mazhar Abbas