be-his o kaj-fahm o la-parwa kahe
kal muarriKH jaane hum ko kya kahe
is tarah rahte hain is ghar ke makin
jis tarah bahra sune gunga kahe
raaz-ha-e-zabt-e-gham kya chhup saken
honT jab KHamosh hon chehra kahe
is liye har shaKHs ko dekha kiya
kash koi to mujhe apna kahe
hai takallum aaina ehsas ka
jis ki jaisi soch ho waisa kahe
paDh chuke dariya qasida abr ka
kya zaban-e-KHushk se sahra kahe
bad-gumani sirf meri zat se
main to wo kahta hun jo duniya kahe
Ghazal
Be-his o kaj-fahm o la-parwa kahe
Murtaza Birlas