be-hijab aap ke aane ki zarurat kya thi
yun mere hosh uDane ki zarurat kya thi
hum se kahna tha Dubo dete safina apna
itne tufan uThane ki zarurat kya thi
jab se aaya hun yahan mohr-ba-lab baiTha hun
mujh ko mahfil mein bulane ki zarurat kya thi
apne kirdar-o-amal par jo bharosa hota
aap ke naz uThane ki zarurat kya thi
yun bhi ho sakte the aabaad tere virane
hum ko diwana banane ki zarurat kya thi
ashk-e-KHun baad mein 'sarshaar' bahane the agar
KHun-e-ushshaq bahane ki zarurat kya thi
Ghazal
Be-hijab aap ke aane ki zarurat kya thi
Jaimini Sarshar