اردو हिंदी
Be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya | Shaahi Shayari
be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya

Ghazal

Be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya

Anjum Niyazi

;

be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya
ret par likh kar main KHud apni kahani rah gaya

chal diye sab dost mujh ko Dubta hi chhoD kar
gham baTane ke liye dariya ka pani rah gaya

jab kabhi kholi hai main ne bite lamhon ki kitab
der tak paDhta main tahriren purani rah gaya

jhaD gae patte mere jitne meri shaKHon pe the
ban ke apni ek dhundli si nishani rah gaya

jam gaya hai barf ki surat mera sara badan
dur mujh se dur suraj aan-jahani rah gaya

lafz thak kar so gae kaghaz ke pahlu mein magar
jagta anjum mera husn-e-maani rah gaya