be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin 
pana khona hansna rona kya hai aaKHir kuchh bhi nahin 
apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai 
jism ki KHatir lakhon saman ruh ki KHatir kuchh bhi nahin 
us ki bazi us ke mohre us ki chaalen us ki jit 
us ke aage sare qadir mahir shatir kuchh bhi nahin 
us ka hona ya na hona KHud mein ujagar hota hai 
gar wo hai to bhitar hi hai warna ba-zahir kuchh bhi nahin 
duniya se jo paya us ne duniya hi ko saunp diya 
ghazlen nazmen duniya ki hain kya hai shair kuchh bhi nahin
        Ghazal
Be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin
Deepti Mishra

