be-gunahi ka har ehsas miTa de koi
mujh ko is daur mein jine ki saza de koi
naqsh yaadon ke sabhi dil se miTa de koi
hosh mein hun mujhe diwana bana de koi
koi is shahr mein sunta nahin dil ki aawaz
kis tawaqqo pe kahin ja ke sada de koi
aaj bhi jin ko hai apnon se wafa ki ummid
meri taswir unhen ja ke dikha de koi
mera mazi mujhe kya jaane kahan chhoD gaya
main kahan dafn hun itna to bata de koi
ghairat-e-dast-e-talab baat to jab hai teri
apna daman hi teri samt baDha de koi
hosh walon ne to kar rakkha hai duniya ko tabah
mujh ko is daur mein diwana bana de koi
tauba to ki hai magar ab bhi ye hasrat hai 'shamim'
de ke qasmen mujhe ek bar pila de koi
Ghazal
Be-gunahi ka har ehsas miTa de koi
Shamim Jaipuri