be-gunah qatl hote jate hain
sabr ka imtihan hai shayad
marne walon ko bhul jate hain
jaan hai to jahan hai shayad
wo kabhi mere dil mein rahte hain
ye bhi un ka makan hai shayad
apni hasti bhi yan hai koi chiz
ek wahm-o-guman hai shayad
hai jo har shai mein har jagah maujud
wo KHuda be-nishan hai shayad
shaiKH huron pe jaan dete hain
dil abhi tak jawan hai shayad
jin ka phika hai be-maza pakwan
un ki unchi dukan hai shayad
Ghazal
Be-gunah qatl hote jate hain
Meer Yaseen Ali khan