be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye
sher mein zikr-e-dar-o-diwar kam kar dijiye
apni tanhai mein itna bhi KHalal achchha nahin
aap apne aap se guftar kam kar dijiye
dushmanon ki KHud-ba-KHud ho jaegi tadad kam
yaron ki fihrist mein kuchh yar kam kar dijiye
jab tawajjoh hi nahin maujudgi kis kaam ki
is kahani mein mera kirdar kam kar dijiye
sochiye ab itne chaaragar kahan se aaenge
muskura kar apne kuchh bimar kam kar dijiye
aap ki baaton mein aa kar jaan se to ja chuke
ab to in mein zahr ki miqdar kam kar dijiye
Ghazal
Be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye
Rajesh Reddy