be-gana-adai hai sitam jaur-o-sitam mein
hum chhupne na pae ki chhupa aap wo hum mein
kuchh ilm-o-KHirad par nahin taqdir ki miqdar
andaza-e-paiman na zyaada mein na kam mein
hai tarz-e-mohabbat hi dil-ashob wagarna
kuchh baat adawat ki na tum mein hai na hum mein
har qafila-e-dard-rasida ki hai manzil
kya jaaniye aaram hai kya mulk-e-adam mein
yarab ho bura is hawas-e-dil ka nahin chain
iflas bhi khoya talab-e-jah-o-hasham mein
be-his hawas-e-wasl mein aise to hue hain
lazzat hai aziyyat mein halawat hai na sam mein
afsana-e-mai-KHana hai waiz ki zaban par
andaza-e-paimana hai qindil-e-haram mein
mujh ko hi nahin be-KHud-o-behosh kya kuchh
diwane bane aap bhi tashwish-e-sitam mein
us zohd-libasi ke 'qalaq' tere hain qail
kis Dhang se laya pisar-e-shaiKH ko dam mein
Ghazal
Be-gana-adai hai sitam jaur-o-sitam mein
Ghulam Maula Qalaq