اردو हिंदी
Be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae | Shaahi Shayari
be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae

Ghazal

Be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae

Pirzada Qasim

;

be-dili se hansne ko KHush-dili na samjha jae
gham se jalte chehron ko raushni na samjha jae

gah gah wahshat mein ghar ki samt jata hun
is ko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jae

lakh KHush-guman duniya bahami talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jae

hum to bas ye kahte hain rose jine marne ko
aap chahen kuchh samjhen zindagi na samjha jae

KHak karne walon ki kya ajib KHwahish thi
KHak hone walon ko KHak bhi na samjha jae