اردو हिंदी
Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai | Shaahi Shayari
be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai

Ghazal

Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai

Ghazanfar Hashmi

;

be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai
is dasht mein gardab ki surat bhi bahut hai

aankhen jo liye phirta hun ai KHwab-e-musalsal!
mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai

tum zad-e-safar itna uThaoge kahan tak
asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai

do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein
ai umr-e-rawan! itni karamat bhi bahut hai

kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq
kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai

ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar'
aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai