be-bulae hue jaana mujhe manzur nahin
un ka wo taur nahin mera ye dastur nahin
lan-tarani ke ye mani hain baja hai dawa
dekhe be-parda tujhe koi ye maqdur nahin
wo kahan taj kahan taKHt kahan mal o manal
qabil ab bhik ke bhi kasa-e-faghfur nahin
be-ibaadat na KHuda baKHshega subhan-allah
aisi firdaus se hum guzre ki mazdur nahin
main wo mai-kash hun na rakkhun kabhi bhule se qadam
koi kah de ye agar KHuld mein angur nahin
dam-ba-dam uThte hain tufan jo 'barq' ashkon ke
nuh ka waqt nahin aankh hai tannur nahin
Ghazal
Be-bulae hue jaana mujhe manzur nahin
Mirza Raza Barq