be-barg-o-bar rah mein sukhe daraKHt the
manzil tah-e-qadam hui hum tez-baKHt the
hamle chahaar samt se hum par hue magar
andar se war jitne hue zyaada saKHt the
the peD par to mujh ko bahut KHushnuma lage
toDe to jitne phal the kasile karaKHt the
soe to yaad qaus-e-quzah mein simaT gai
jage to jitne rang the wo laKHt laKHt the
sar to chhupaen koi kirae ki chhat mile
yun is qadam ki zad mein kabhi taj-o-taKHt the
Ghazal
Be-barg-o-bar rah mein sukhe daraKHt the
Zaheer Siddiqui