be-bak na dekha koi qatil ke barabar
sharm aankh mein pai na gai til ke barabar
dushman koi ai yar mera aur tera dost
hoga na zamane mein mere dil ke barabar
dil muttasil-e-kucha-e-mahbub hua gum
luTna tha pahunch kar mujhe manzil ke barabar
kam-baKHti-e-waiz hai ki ho waz ki sohbat
rindan-e-qadah-nosh ki mahfil ke barabar
hum pi gae jo ashk qarib-e-mizha aaya
kashti hui jab gharq to sahil ke barabar
aahon ke sharar gard nahin dagh-e-jigar ke
tabinda hain aKHtar mah-e-kaamil ke barabar
parda na uTha qais ne laila ko na dekha
jhonka bhi na aaya koi mahmil ke barabar
maqtal mein ye hasrat rahi ai zoaf pas-e-zabh
pahunche na taDap kar kisi bismil ke barabar
ghar tak dar-e-jaanan se 'jalal' aaiye kyun kar
ek ek qadam hai kai manzil ke barabar
Ghazal
Be-bak na dekha koi qatil ke barabar
Jalal Lakhnavi